hisar-e-dard sa main sai-e-raegan sa main
hisār-e-dard sā maiñ sa.ī-e-rā.egāñ sā maiñ
ye sho.ala sho.ala fazā aur dhuāñ dhuāñ sā maiñ
paheliyāñ sī mire ird-gird bikhrī huiiñ
huzūr-e-vaqt koī lamha-e-girāñ sā maiñ
qadam qadam na.e unvān muñh uThā.e hue
kisī rivāyat-e-kuhna kī dāstāñ sā maiñ
kisī guzarte hue sānehe kā lamha tū
aur ek lamhe kī ḳhātir ravāñ-davāñ sā maiñ
maiñ intizār kī taqdīs tū shikast-e-vafā
tū dā.eroñ kā makīñ dard-e-lā-makāñ sā maiñ
tamām samt vahī shor meñ faqat maiñ huuñ
kahāñ ye shor kahāñ ek be-zabāñ sā maiñ
mujhe banā ke tirī aañkh khul ga.ī jaise
bikhar gayā huuñ yahāñ ḳhvāb-e-rā.egāñ sā maiñ
hazāroñ ḳhvāhisheñ lākhoñ alam mire hamrāh
ragoñ kā ashk' kahāñ jaane kārvāñ sā maiñ
hisar-e-dard sa main sai-e-raegan sa main
ye shoala shoala faza aur dhuan dhuan sa main
paheliyan si mere ird-gird bikhri huin
huzur-e-waqt koi lamha-e-giran sa main
qadam qadam nae unwan munh uThae hue
kisi riwayat-e-kuhna ki dastan sa main
kisi guzarte hue sanehe ka lamha tu
aur ek lamhe ki KHatir rawan-dawan sa main
main intizar ki taqdis tu shikast-e-wafa
tu daeron ka makin dard-e-la-makan sa main
tamam samt wahi shor mein faqat main hun
kahan ye shor kahan ek be-zaban sa main
mujhe bana ke teri aankh khul gai jaise
bikhar gaya hun yahan KHwab-e-raegan sa main
hazaron KHwahishen lakhon alam mere hamrah
ragon ka ashk' kahan jaane karwan sa main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.