hisar-e-dushman-e-jaan se nikal ke
hisār-e-dushman-e-jāñ se nikal ke
chale haiñ ham bhī ab raste badal ke
ayaañ sā ho gayā hai har kisī par
tirā joban mire sheroñ meñ Dhal ke
mirī dhaḌkan kā bajtā saaz bhī tum
tumhī e.ajāz ho merī ġhazal ke
bhañvar ne aa liyā hai kashtiyoñ ko
ye nazzāre haiñ āñkhoñ meñ ajal ke
jinheñ Dar hādsātī maut kā ho
gharoñ se vo nikalte haiñ sañbhal ke
kisī ke saath jab hotā huuñ 'tanhā'
mujhe vo dekhtā rahtā hai jal ke
hisar-e-dushman-e-jaan se nikal ke
chale hain hum bhi ab raste badal ke
ayan sa ho gaya hai har kisi par
tera joban mere sheron mein Dhal ke
meri dhaDkan ka bajta saz bhi tum
tumhi eajaz ho meri ghazal ke
bhanwar ne aa liya hai kashtiyon ko
ye nazzare hain aankhon mein ajal ke
jinhen Dar hadsati maut ka ho
gharon se wo nikalte hain sanbhal ke
kisi ke sath jab hota hun 'tanha'
mujhe wo dekhta rahta hai jal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.