hisar-e-hijr ke jughrafie samajh aae
hisār-e-hijr ke juġhrāfi.e samajh aa.e
jab apne duur hue marsiye samajh aa.e
maiñ vāpas aa ke batā.ūñgī un kā haal tumheñ
agar mazār pe jalte diye samajh aa.e
tumhāre ishq kī in sā.atoñ ke baa'd hameñ
musavvirī ke na.e zāviye samajh aa.e
tarāsh Dālūñgī alfāz ko ba-sūrat-e-sher
ġhazal ke jūñhī mujhe qāfiye samajh aa.e
vo likhne vaale ne likkhe the buġhz meñ jal kar
muarraḳhīn ko jo hāshiye samajh aa.e
hameñ pasand na thā mushkiloñ meñ rahnā bhī
so jitne roz jahāñ meñ jiye samajh aa.e
bahut se naqsh adhūre haiñ ab talak 'tābish'
bahut se log tumhāre liye samajh aa.e
hisar-e-hijr ke jughrafie samajh aae
jab apne dur hue marsiye samajh aae
main wapas aa ke bataungi un ka haal tumhein
agar mazar pe jalte diye samajh aae
tumhaare ishq ki in saaton ke ba'd hamein
musawwiri ke nae zawiye samajh aae
tarash Dalungi alfaz ko ba-surat-e-sher
ghazal ke junhi mujhe qafiye samajh aae
wo likhne wale ne likkhe the bughz mein jal kar
muarraKHin ko jo hashiye samajh aae
hamein pasand na tha mushkilon mein rahna bhi
so jitne roz jahan mein jiye samajh aae
bahut se naqsh adhure hain ab talak 'tabish'
bahut se log tumhaare liye samajh aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.