hisar-e-jism se aage nikal gaya hota
hisār-e-jism se aage nikal gayā hotā
junūñ kī aag meñ dīvāna jal gayā hotā
hayāt ek sahī kā.enāt ek sahī
hamāre ahd kā insāñ badal gayā hotā
havā ke zor ne patthar uḌā diye hote
tamām shahr ko tūfāñ nigal gayā hotā
maiñ apnī niiñd kisī ghar meñ kaise bhuul aatā
vo mere ḳhvāb ke sāñche meñ Dhal gayā hotā
na pūchh kaisā thā manzar tirī judā.ī kā
farishta hotā to vo bhī dahal gayā hotā
hisar-e-jism se aage nikal gaya hota
junun ki aag mein diwana jal gaya hota
hayat ek sahi kaenat ek sahi
hamare ahd ka insan badal gaya hota
hawa ke zor ne patthar uDa diye hote
tamam shahr ko tufan nigal gaya hota
main apni nind kisi ghar mein kaise bhul aata
wo mere KHwab ke sanche mein Dhal gaya hota
na puchh kaisa tha manzar teri judai ka
farishta hota to wo bhi dahal gaya hota
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 89)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.