hisar-e-nikhat-e-gul mein sar-e-bahaar tha main
hisār-e-nik.hat-e-gul meñ sar-e-bahār thā maiñ
vo din bhī kyā the ki ik apsarā kā yaar thā maiñ
judā.iyoñ kā sabab khul nahīñ sakā ab tak
vo bevafā bhī na thī aur vafā-shi'ār thā maiñ
thī ġhair sub.h-o-masā bin tire mirī hālat
malūl shab se dinoñ se gila-guzār thā maiñ
koī bhī azhdahā rauzan se dar nahīñ aayā
usī ne mujh ko Dasā jis kā yār-e-ġhār thā maiñ
vahī the jaan ke dushman bane hue mere
unhī ke chāhne vāloñ meñ bhī shumār thā maiñ
kisī ke vasl ne yakjā rakhā thā merā vajūd
kisī ke hijr meñ TuuTā to be-shumār thā maiñ
ki jockey juuñ koī bachcha banā diyā jaa.e
'malāl' tausan-e-hastī pe yuuñ savār thā maiñ
hisar-e-nikhat-e-gul mein sar-e-bahaar tha main
wo din bhi kya the ki ek apsara ka yar tha main
judaiyon ka sabab khul nahin saka ab tak
wo bewafa bhi na thi aur wafa-shi'ar tha main
thi ghair subh-o-masa bin tere meri haalat
malul shab se dinon se gila-guzar tha main
koi bhi azhdaha rauzan se dar nahin aaya
usi ne mujh ko Dasa jis ka yar-e-ghaar tha main
wahi the jaan ke dushman bane hue mere
unhi ke chahne walon mein bhi shumar tha main
kisi ke wasl ne yakja rakha tha mera wajud
kisi ke hijr mein TuTa to be-shumar tha main
ki jockey jun koi bachcha bana diya jae
'malal' tausan-e-hasti pe yun sawar tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.