hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh liya
hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekh liyā
zamāne ham ne tire saath chal ke dekh liyā
milā na ham ko zarā bhī qarār duniyā meñ
qadam milā ke tire saath chal ke dekh liyā
vahī hai tīra-shabī aur vahī hai sannāTā
ḳhalā meñ duur bahut duur chal ke dekh liyā
jalā na diip koī chāhatoñ kā raste meñ
hujūm-e-shahr meñ tanhā bhī chal ke dekh liyā
atā huā na hameñ koī tamġha-e-ulfat
tumhāre rang meñ ham ne bhī Dhal ke dekh liyā
hue na aaj talak ham shumār zindoñ meñ
har ik libās badan kā badal ke dekh liyā
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh liya
zamane hum ne tere sath chal ke dekh liya
mila na hum ko zara bhi qarar duniya mein
qadam mila ke tere sath chal ke dekh liya
wahi hai tira-shabi aur wahi hai sannaTa
KHala mein dur bahut dur chal ke dekh liya
jala na dip koi chahaton ka raste mein
hujum-e-shahr mein tanha bhi chal ke dekh liya
ata hua na hamein koi tamgha-e-ulfat
tumhaare rang mein hum ne bhi Dhal ke dekh liya
hue na aaj talak hum shumar zindon mein
har ek libas badan ka badal ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.