hisar-e-zat se nikla to phir sanbhal na saka
hisār-e-zāt se niklā to phir sañbhal na sakā
anā ke bojh se baisākhiyoñ pe chal na sakā
simaT ga.ī jo bisāt-e-tarab hai tere ba.ad
nashāt-e-mahfil-e-yārāñ meñ jī bahal na sakā
musāfirān-e-rah-e-shauq ye bhī yaad rahe
tilism-e-hosh-rubā se koī nikal na sakā
tamām shorish-e-daurāñ tamām rañg-e-nashāt
maiñ sañg-o-ḳhisht meñ ḳhud ko magar badal na sakā
'nadīm' kaam na aa.ī vo nus.h-e-ḳhair-ḳhahāñ
maiñ kaj-kulāh zamāne ke saath chal na sakā
hisar-e-zat se nikla to phir sanbhal na saka
ana ke bojh se baisakhiyon pe chal na saka
simaT gai jo bisat-e-tarab hai tere baad
nashat-e-mahfil-e-yaran mein ji bahal na saka
musafiran-e-rah-e-shauq ye bhi yaad rahe
tilism-e-hosh-ruba se koi nikal na saka
tamam shorish-e-dauran tamam rang-e-nashat
main sang-o-KHisht mein KHud ko magar badal na saka
'nadim' kaam na aai wo nush-e-KHair-KHahan
main kaj-kulah zamane ke sath chal na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.