hissa-e-dard wirasat se ziyaada hi mila
hissa-e-dard virāsat se ziyāda hī milā
mujh ko shāyad mirī qismat se ziyāda hī milā
ġham zamāne kā zarā sā hī ḳharīdā thā magar
maal mujh ko mirī qīmat se ziyāda hī milā
vo siyāsat ne diye hoñ ki mohabbat ne tirī
dil ko har zaḳhm zarūrat se ziyāda hī milā
log jannat ke talabgār haiñ lekin ai maañ
tū milī to mujhe jannat se ziyāda hī milā
laakh tadbīr ne ḳhushiyoñ ko manāyā lekin
ranj taqdīr ko rāhat se ziyāda hī milā
hissa-e-dard wirasat se ziyaada hi mila
mujh ko shayad meri qismat se ziyaada hi mila
gham zamane ka zara sa hi KHarida tha magar
mal mujh ko meri qimat se ziyaada hi mila
wo siyasat ne diye hon ki mohabbat ne teri
dil ko har zaKHm zarurat se ziyaada hi mila
log jannat ke talabgar hain lekin ai man
tu mili to mujhe jannat se ziyaada hi mila
lakh tadbir ne KHushiyon ko manaya lekin
ranj taqdir ko rahat se ziyaada hi mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.