hisse mein aae mere sada TukDe kanch ke
hisse meñ aa.e mere sadā TukḌe kāñch ke
qismat ne hī kiye haiñ atā TukḌe kāñch ke
ik vaqt thā dete the sazā TukḌe kāñch ke
dene lage haiñ ab to mazā TukḌe kāñch ke
fitrat meñ un kī denā chubhan likh diyā gayā
majbūr haiñ kareñ bhī to kyā TukḌe kāñch ke
ā.īna dekhne kī bhī hasrat nahīñ rahī
batlāte haiñ mirī hī ḳhatā TukḌe kāñch ke
ab terī bad-duā kā asar ḳhatm ho gayā
karte haiñ mere haq meñ duā TukḌe kāñch ke
nashtar chubhā ke duniyā mujhe zaḳhm de rahī
aur de rahe haiñ mujh ko davā TukḌe kāñch ke
chāho 'rajat' se milnā kabhī tum jo dosto
de deñge tum ko merā patā TukḌe kāñch ke
hisse mein aae mere sada TukDe kanch ke
qismat ne hi kiye hain ata TukDe kanch ke
ek waqt tha dete the saza TukDe kanch ke
dene lage hain ab to maza TukDe kanch ke
fitrat mein un ki dena chubhan likh diya gaya
majbur hain karen bhi to kya TukDe kanch ke
aaina dekhne ki bhi hasrat nahin rahi
batlate hain meri hi KHata TukDe kanch ke
ab teri bad-dua ka asar KHatm ho gaya
karte hain mere haq mein dua TukDe kanch ke
nashtar chubha ke duniya mujhe zaKHm de rahi
aur de rahe hain mujh ko dawa TukDe kanch ke
chaho 'rajat' se milna kabhi tum jo dosto
de denge tum ko mera pata TukDe kanch ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.