ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya
ho aañkh agar zinda guzartī hai na kyā kyā
yuuñ aab meñ bujhte hue sho'le kī sadā kyā
ai tū ki yaqīñ hai tujhe shīshe ke badan par
ehsās kī dastak pe kabhī kaan dharā kyā
dīvār-e-tahī-naqsh har ik rang se māyūs
kāġhaz ke liye mū-e-qalam sañg bachā kyā
mahfūz hamīñ reg-hisāroñ meñ hue the
kyā varna samundar kā guzar mauj-e-havā kyā
vo shaḳhs mire saa.e se rakhtā hai ta'alluq
merā hī yaqīñ TuuT gayā us kā gayā kyā
us barf ke insān kī taḳhlīq mirī thī
is dhuup kī nagrī meñ mile us kā patā kyā
ḳhud tiir hadoñ meñ hoñ abhī sach hai ye 'manzūr'
us chashm-giraftār ko mānūñgā ḳhudā kyā
ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya
yun aab mein bujhte hue sho'le ki sada kya
ai tu ki yaqin hai tujhe shishe ke badan par
ehsas ki dastak pe kabhi kan dhara kya
diwar-e-tahi-naqsh har ek rang se mayus
kaghaz ke liye mu-e-qalam sang bacha kya
mahfuz hamin reg-hisaron mein hue the
kya warna samundar ka guzar mauj-e-hawa kya
wo shaKHs mere sae se rakhta hai ta'alluq
mera hi yaqin TuT gaya us ka gaya kya
us barf ke insan ki taKHliq meri thi
is dhup ki nagri mein mile us ka pata kya
KHud tir hadon mein hon abhi sach hai ye 'manzur'
us chashm-giraftar ko manunga KHuda kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.