Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs

Munshi Khairati Laal Shagufta

ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs

Munshi Khairati Laal Shagufta

MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta

    ho agar madd-e-nazar gulshan meñ ai gulfām raqs

    sūrat-e-bismil dikhā.e bulbul-e-nākām raqs

    ḳhāna-e-maqtal meñ hotā hai gumāñ firdaus

    mor ban kar jab dikhātī hai tirī samsām raqs

    vo havā-ḳhvāh-e-nasīm-e-zulf huuñ maiñ tīra-baḳht

    kyuuñ na marqad par kare dūd-e-charāġh-e-shām raqs

    aarzū hai iltifāt-e-be-qarārī se mujhe

    vasl meñ us ko dikhā.e har rag-e-andām raqs

    dam nahīñ apnā taḌap kar lauTtā hai hijr meñ

    ruuh ko sikhlā rahā hai maut paiġhām raqs

    ai 'shagufta' vo parī-rū mujh se farmātā hai ye

    tum ko dikhlā.eñge apnā aaj zer-e-bām raqs

    ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfam raqs

    surat-e-bismil dikhae bulbul-e-nakaam raqs

    KHana-e-maqtal mein hota hai guman firdaus ka

    mor ban kar jab dikhati hai teri samsam raqs

    wo hawa-KHwah-e-nasim-e-zulf hun main tira-baKHt

    kyun na marqad par kare dud-e-charagh-e-sham raqs

    aarzu hai iltifat-e-be-qarari se mujhe

    wasl mein us ko dikhae har rag-e-andam raqs

    dam nahin apna taDap kar lauTta hai hijr mein

    ruh ko sikhla raha hai maut ka paigham raqs

    ai 'shagufta' wo pari-ru mujh se farmata hai ye

    tum ko dikhlaenge apna aaj zer-e-baam raqs

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now