ho agar uljhan ya koi gham tu mujhse baat kar
ho agar uljhan ya koi gham tu mujhse baat kar
Ritu Singh Rajput Rit
MORE BYRitu Singh Rajput Rit
ho agar uljhan yā koī ġham tū mujh se baat kar
yuuñ na kar āñkhoñ ko apnī nam tū mujh se baat kar
kaun sī shai āsmāñ meñ hai nihāñ mujh ko batā
kyoñ bhalā dekhe idhar har dam tū mujh se baat kar
guftugū se hī yahāñ par hal koī ho pā.egā
ḳhāmushī kar degī ye be-dam tū mujh se baat kar
kyā diyā hai aap ne juz mujh ko ik tasvīr ke
haañ usī se kahtī huuñ hamdam tū mujh se baat kar
chaar din key ziist meñ bas chaar pal ḳhushiyoñ ke haiñ
kis liye phir raat din mātam tū mujh se baat kar
'rīt' kyā tanhā safar sach meñ tujhe khalne lagā
kyā nahīñ kahtā koī jānam tū mujh se baat kar
ho agar uljhan ya koi gham tu mujh se baat kar
yun na kar aankhon ko apni nam tu mujh se baat kar
kaun si shai aasman mein hai nihan mujh ko bata
kyon bhala dekhe idhar har dam tu mujh se baat kar
guftugu se hi yahan par hal koi ho paega
KHamushi kar degi ye be-dam tu mujh se baat kar
kya diya hai aap ne juz mujh ko ek taswir ke
han usi se kahti hun hamdam tu mujh se baat kar
chaar din key zist mein bas chaar pal KHushiyon ke hain
kis liye phir raat din matam tu mujh se baat kar
'rit' kya tanha safar sach mein tujhe khalne laga
kya nahin kahta koi jaanam tu mujh se baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.