ho bhi sakta hai par nahin hota
ho bhī saktā hai par nahīñ hotā
pyaar bār-e-digar nahīñ hotā
un kī ab yaad bhī nahīñ aatī
rail kā bhī guzar nahīñ hotā
shab jahāñ ghoñsla banāte haiñ
sub.h ko vo shajar nahīñ hotā
maiñ vo būḌhā daraḳht huuñ jis par
peñg panchhī samar nahīñ hotā
maañ kī maujūdgī na ho jis meñ
dasht hotā hai ghar nahīñ hotā
hijr meñ shab tavīl hotī hai
aur din muḳhtasar nahīñ hotā
ho bhi sakta hai par nahin hota
pyar bar-e-digar nahin hota
un ki ab yaad bhi nahin aati
rail ka bhi guzar nahin hota
shab jahan ghonsla banate hain
subh ko wo shajar nahin hota
main wo buDha daraKHt hun jis par
peng panchhi samar nahin hota
man ki maujudgi na ho jis mein
dasht hota hai ghar nahin hota
hijr mein shab tawil hoti hai
aur din muKHtasar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.