ho buzdili ka bahana to sabr kya TuTe
ho buzdilī kā bahānā to sabr kyā TuuTe
agar hai zabt to ab is kī intihā TuuTe
na.e charāġh jaleñ dhuñdh kī ridā TuuTe
ye mere ḳhvāb the lekin ye bārhā TuuTe
merī talab meñ kamī hai na hausloñ meñ magar
ye hasratoñ kī tamannā hai dil mirā TuuTe
hai be-ruḳhī bhī terī kuchh to āñdhiyoñ kī tarah
charāġh-e-dil kī mire jis meñ iltijā TuuTe
ḳhatā bhale na ho dushyant kī magar phir bhī
yahāñ vo riit hai jis meñ shakuntlā TuuTe
yahāñ pe dair-o-haram ke haiñ mas.ale saaqī
ḳhudā vo din na dikhā.e ki mai-kadā TuuTe
zamīr bech ke jiine se maut hai achchhī
na sach dikhā.e to behtar hai ā.īna TuuTe
ye mushkilāt bhī uktā ga.iiñ haiñ ab mujh se
ho āsmāñ bhī to vo kitnī martaba TuuTe
zabāñ vo kaise bhalā ghuñghruoñ kī samjhegā
ki jis ke sāmne chūḌī kī iltijā TuuTe
tirī ḳhushī ke liye dil tujhe maiñ de duuñ magar
jo chuur chuur hai āḳhir vo aur kyā TuuTe
milegī 'rāz' amīroñ ko kab talak shohrat
maiñ chāhtā huuñ ki ab ye paramparā TuuTe
ho buzdili ka bahana to sabr kya TuTe
agar hai zabt to ab is ki intiha TuTe
nae charagh jalen dhundh ki rida TuTe
ye mere KHwab the lekin ye barha TuTe
meri talab mein kami hai na hauslon mein magar
ye hasraton ki tamanna hai dil mera TuTe
hai be-ruKHi bhi teri kuchh to aandhiyon ki tarah
charagh-e-dil ki mere jis mein iltija TuTe
KHata bhale na ho dushyant ki magar phir bhi
yahan wo rit hai jis mein shakuntla TuTe
yahan pe dair-o-haram ke hain masale saqi
KHuda wo din na dikhae ki mai-kada TuTe
zamir bech ke jine se maut hai achchhi
na sach dikhae to behtar hai aaina TuTe
ye mushkilat bhi ukta gain hain ab mujh se
ho aasman bhi to wo kitni martaba TuTe
zaban wo kaise bhala ghunghruon ki samjhega
ki jis ke samne chuDi ki iltija TuTe
teri KHushi ke liye dil tujhe main de dun magar
jo chur chur hai aaKHir wo aur kya TuTe
milegi 'raaz' amiron ko kab talak shohrat
main chahta hun ki ab ye parampara TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.