ho chuka intizar sone de
ho chukā intizār sone de
ai dil-e-be-qarār sone de
miT ga.iiñ raunaqeñ charāġhoñ kī
luT ga.e rahguzār sone de
āhaToñ ke fareb meñ mat aa
un kā kyā e'tibār sone de
pī liye āñsuoñ ke jaam bahut
TūTtā hai ḳhumār sone de
tū ne dekhī to hogī shām-e-ḳhizāñ
ai marīz-e-bahār sone de
ūñghtā hai udaas peḌoñ par
chāñdnī kā ġhubār sone de
āḳhir-e-shab na koī aa.egā
mere shab-zinda-dār sone de
duur us paar dekhtā kyā hai
vāqif-e-ḳhū-e-yār sone de
ban ga.e haiñ hamāre siine meñ
hasratoñ ke mazār sone de
ho chuka intizar sone de
ai dil-e-be-qarar sone de
miT gain raunaqen charaghon ki
luT gae rahguzar sone de
aahaTon ke fareb mein mat aa
un ka kya e'tibar sone de
pi liye aansuon ke jam bahut
TuTta hai KHumar sone de
tu ne dekhi to hogi sham-e-KHizan
ai mariz-e-bahaar sone de
unghta hai udas peDon par
chandni ka ghubar sone de
aaKHir-e-shab na koi aaega
mere shab-zinda-dar sone de
dur us par dekhta kya hai
waqif-e-KHu-e-yar sone de
ban gae hain hamare sine mein
hasraton ke mazar sone de
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 233)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.