ho chuki bagh mein bahaar afsos
ho chukī baaġh meñ bahār afsos
aah ai bulbulo hazār afsos
qāfila umr kā hai pā-ba-rikāb
ziist kā kyā hai e'tibār afsos
mirī rātoñ ko dekh soḳhtagī
na kiyā ek din bhī yaar afsos
shab se parvāne kī lagan meñ sham.a
sub.h tak roī zaar zaar afsos
saḳht be-tābī se kaTī kal raat
aaj bhī dil hai be-qarār afsos
ḳhāl-o-ḳhat ko samajh ke dāna-o-dām
murġh-e-dil ho gayā shikār afsos
aah dast-e-junūñ se ai nāseh
hai garebān taar taar afsos
jaan hoñToñ pe aa ga.ī hamdam
lekin ab tak phirā na yaar afsos
umr ġhaflat meñ kaT ga.ī hai 'nasīr'
aah afsos sad-hazār afsos
ho chuki bagh mein bahaar afsos
aah ai bulbulo hazar afsos
qafila umr ka hai pa-ba-rikab
zist ka kya hai e'tibar afsos
meri raaton ko dekh soKHtagi
na kiya ek din bhi yar afsos
shab se parwane ki lagan mein shama
subh tak roi zar zar afsos
saKHt be-tabi se kaTi kal raat
aaj bhi dil hai be-qarar afsos
KHal-o-KHat ko samajh ke dana-o-dam
murgh-e-dil ho gaya shikar afsos
aah dast-e-junun se ai naseh
hai gareban tar tar afsos
jaan honTon pe aa gai hamdam
lekin ab tak phira na yar afsos
umr ghaflat mein kaT gai hai 'nasir'
aah afsos sad-hazar afsos
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.