ho chuki ruswa-e-alam chaak-damani meri
ho chukī rusvā-e-ālam chāk-dāmānī mirī
ab chaman meñ rang lā.egī ġhazal-ḳhvānī mirī
ishq ke anvār se ho jā.eñge dil tābnāk
anjuman-afroz hogī sham-e-irfānī mirī
chaak hoñge mere soz-o-sāz se ġhunchoñ ke dil
gul khilā.egī chaman meñ nāla-sāmānī mirī
bulbuloñ ko yaad aa jā.egī rūdād-e-bahār
dil ko taḌpā.egī ai 'nayyar' ġhazal-ḳhvānī mirī
ho chuki ruswa-e-alam chaak-damani meri
ab chaman mein rang laegi ghazal-KHwani meri
ishq ke anwar se ho jaenge dil tabnak
anjuman-afroz hogi sham-e-irfani meri
chaak honge mere soz-o-saz se ghunchon ke dil
gul khilaegi chaman mein nala-samani meri
bulbulon ko yaad aa jaegi rudad-e-bahaar
dil ko taDpaegi ai 'nayyar' ghazal-KHwani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.