ho dil ulfat se gar Khaali baDa viran hota hai
ho dil ulfat se gar Khaali baDa viran hota hai
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
ho dil ulfat se gar ḳhālī baḌā vīrān hotā hai
ki aane vaalā har lamha vabāl-e-jān hotā hai
nazar bhar kar nahīñ par kanakhiyoñ se dekh lete haiñ
ye un kā lutf-e-asġhar bhī baḌā ehsān hotā hai
badal Daale haiñ tarz-e-zindagī ne is tarah rishte
koī majbūr ho tab hī kahīñ mehmān hotā hai
vagarna mujh ko vahshat rahtī hai maazī kī yādoñ se
baḌe hī kaam kā vallāh ye nisyān hotā hai
blōd-pressure blōd-sugar use kuchh bhī nahīñ hotā
jo mehnat-kash hai vo is tarah se dhanvān hotā hai
ghuTan kī aisī aadat paḌ ga.ī hai mujh ko ab 'shārib'
vo ghar achchhe nahīñ lagte jahāñ dālān hotā hai
ho dil ulfat se gar KHali baDa viran hota hai
ki aane wala har lamha wabaal-e-jaan hota hai
nazar bhar kar nahin par kanakhiyon se dekh lete hain
ye un ka lutf-e-asghar bhi baDa ehsan hota hai
badal Dale hain tarz-e-zindagi ne is tarah rishte
koi majbur ho tab hi kahin mehman hota hai
wagarna mujh ko wahshat rahti hai mazi ki yaadon se
baDe hi kaam ka wallah ye nisyan hota hai
blood-pressure blood-sugar use kuchh bhi nahin hota
jo mehnat-kash hai wo is tarah se dhanwan hota hai
ghuTan ki aisi aadat paD gai hai mujh ko ab 'shaarib'
wo ghar achchhe nahin lagte jahan dalan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.