ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye
ho ga.e ambar-fashāñ donoñ-jahāñ mere liye
muskurāyā gulshan-e-kaun-o-makāñ mere liye
kyā huā maiñ ne jo gaa.e naġhma-e-dār-o-rasan
tum ne ḳhud chheḌā thā sāz-e-imtihāñ mere liye
aañkh bhar aa.ī guloñ ke chaak dāmāñ dekh kar
nashtar-e-ġham hai chaman kī dāstāñ mere liye
ye samajh kar apnī barbādī pe hañstī huuñ mudām
terī duniyā meñ nahīñ shāyad amaañ mere liye
ham-kanār-e-jalva-e-yazdāñ hai merā dil 'kamāl'
kaif-zā haiñ raat kī tanhā.iyāñ mere liye
ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye
muskuraya gulshan-e-kaun-o-makan mere liye
kya hua main ne jo gae naghma-e-dar-o-rasan
tum ne KHud chheDa tha saz-e-imtihan mere liye
aankh bhar aai gulon ke chaak daman dekh kar
nashtar-e-gham hai chaman ki dastan mere liye
ye samajh kar apni barbaadi pe hansti hun mudam
teri duniya mein nahin shayad aman mere liye
ham-kanar-e-jalwa-e-yazdan hai mera dil 'kamal'
kaif-za hain raat ki tanhaiyan mere liye
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 201)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.