ho gae hain apne gird-o-pesh se begana hum
Interesting Fact
(August 8, 1959)
ho ga.e haiñ apne gird-o-pesh se begāna ham
sunte sunte so ga.e haiñ ziist kā afsāna ham
dil nazar ehsās sab kuchh un pe qurbāñ kar chuke
pesh karne ke liye ab laa.eñ kyā nazrāna ham
ik nazar meñ be-niyāz-e-jām-o-sahbā kar diyā
kyoñ na terā dam bhareñ ai nargis-e-mastāna ham
shauq se Dhaa.e sitam koī hamārī jaan par
haañ uThā.eñge kisī ke nāz-e-ma.ashūqāna ham
mujrim-e-ulfat haiñ apne jurm kā iqrār hai
jo bhī kahiyegā kareñge pesh vo jurmāna ham
ehtiyāj-e-sāqī-o-sahbā bhī ho kyoñ ham-nashīñ
ḳhud bhareñge aaj apnī umr kā paimāna ham
kyā ajab gabr-o-musalmāñ kā vatīra dekh kar
ho ga.e haiñ be-niyāz-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ham
jis qadar armāñ the dil meñ dil se ruḳhsat ho ga.e
apne pahlū meñ liye phirte haiñ ab vīrāna ham
sar-ba-kaf ho kar kareñge har balā kā sāmnā
sharm rakkheñge tirī ai himmat-e-mardāna ham
sach batā be-uzr ham sā bhī kahīñ dekhā koī
jab kahā dīvāna tū ne ho ga.e dīvāna ham
sham-e-raushan meñ kashish apne liye 'tālib' kahāñ
sham-e-kushta ho to haiñ jī jaan se parvāna ham
ho gae hain apne gird-o-pesh se begana hum
sunte sunte so gae hain zist ka afsana hum
dil nazar ehsas sab kuchh un pe qurban kar chuke
pesh karne ke liye ab laen kya nazrana hum
ek nazar mein be-niyaz-e-jam-o-sahba kar diya
kyon na tera dam bharen ai nargis-e-mastana hum
shauq se Dhae sitam koi hamari jaan par
han uThaenge kisi ke naz-e-mashuqana hum
mujrim-e-ulfat hain apne jurm ka iqrar hai
jo bhi kahiyega karenge pesh wo jurmana hum
ehtiyaj-e-saqi-o-sahba bhi ho kyon ham-nashin
KHud bharenge aaj apni umr ka paimana hum
kya ajab gabr-o-musalman ka watira dekh kar
ho gae hain be-niyaz-e-kaba-o-but-KHana hum
jis qadar arman the dil mein dil se ruKHsat ho gae
apne pahlu mein liye phirte hain ab virana hum
sar-ba-kaf ho kar karenge har bala ka samna
sharm rakkhenge teri ai himmat-e-mardana hum
sach bata be-uzr hum sa bhi kahin dekha koi
jab kaha diwana tu ne ho gae diwana hum
sham-e-raushan mein kashish apne liye 'talib' kahan
sham-e-kushta ho to hain ji jaan se parwana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.