ho gae hain in dinon kuchh aql se mazur hum
ho gae hain in dinon kuchh aql se mazur hum
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
ho ga.e haiñ in dinoñ kuchh aql se ma.azūr ham
hai jo nazdīk apne us ko jānte haiñ duur ham
jis ne ta.alīm-e-anal-haq dī tujhe roz-e-alast
haiñ usī ustād ke shāgird ai mansūr ham
abadiyat ke bhes meñ kuchh ham se ban saktī nahīñ
vo ga.e din jin dinoñ rakhte the kuchh maqdūr ham
vā.e-nādānī ki haiñ anjām se kyā be-ḳhabar
do hī din kī zindagī par ho ga.e maġhrūr ham
mas.ala kyā pūchhte ho 'faiz' jabr-o-qadr kā
muddatoñ muḳhtār the ab ho ga.e majbūr ham
ho gae hain in dinon kuchh aql se mazur hum
hai jo nazdik apne us ko jaante hain dur hum
jis ne talim-e-anal-haq di tujhe roz-e-alast
hain usi ustad ke shagird ai mansur hum
abadiyat ke bhes mein kuchh hum se ban sakti nahin
wo gae din jin dinon rakhte the kuchh maqdur hum
wae-nadani ki hain anjam se kya be-KHabar
do hi din ki zindagi par ho gae maghrur hum
masala kya puchhte ho 'faiz' jabr-o-qadr ka
muddaton muKHtar the ab ho gae majbur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.