ho gae hum jahan se begane
ho ga.e ham jahāñ se begāne
vahshatoñ aur ġhamoñ ke dīvāne
ab hamārī koī talab hī nahīñ
haal apnā to bas ḳhudā jaane
nekiyāñ nāma-e-siyāh meñ haiñ
jaise naalī meñ kuchh guhar daane
dostoñ se vafā kī aas kahāñ
ham to chit ho ga.e sabhī ḳhāne
tum nazar hī se kah ga.e hote
lafz se māvarā haiñ parvāne
aao pī kar ke hāo-hū hī kareñ
koī masjid nahīñ haiñ maiḳhāne
shaiḳh ne ishq kar diyā jaa.ez
pā ga.e jab diloñ ke nazrāne
ai na.ī nasl tum hī kaam karo
ham sabhī ho ga.e haiñ afsāne
'kāshif' ab ishq meñ hī jannat hai
koī maane yā phir nahīñ maane
ho gae hum jahan se begane
wahshaton aur ghamon ke diwane
ab hamari koi talab hi nahin
haal apna to bas KHuda jaane
nekiyan nama-e-siyah mein hain
jaise nali mein kuchh guhar dane
doston se wafa ki aas kahan
hum to chit ho gae sabhi KHane
tum nazar hi se kah gae hote
lafz se mawara hain parwane
aao pi kar ke hao-hu hi karen
koi masjid nahin hain maiKHane
shaiKH ne ishq kar diya jaez
pa gae jab dilon ke nazrane
ai nai nasl tum hi kaam karo
hum sabhi ho gae hain afsane
'kashif' ab ishq mein hi jannat hai
koi mane ya phir nahin mane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.