ho gae jab ek ja kuchh tishnigan-e-sham-e-gham
ho ga.e jab ek jā kuchh tishnigān-e-shām-e-ġham
sū-e-mai-ḳhāna chalā ik kārvān-e-shām-e-ġham
hijr ke ġham se baḌā duniyā meñ koī ġham nahīñ
sāmne aa.eñ kahāñ haiñ qātilān-e-shām-e-ġham
jab jalā liiñ bastiyāñ gurgoñ ne jitnī ban paḌī
parda-e-bātil se nikle hākimān-e-shām-e-ġham
aaj to saaqī mujhe bas jām-e-ḳhālī chāhiye
āñsuoñ se bhar chukā hai martabān-e-shām-e-ġham
panchhiyoñ ne apne apne ghoñsloñ meñ lī panāh
sūnā-sūnā paḌ gayā hai āsmān-e-shām-e-ġham
tishnagī āvārgī ḳhāna-ḳharābī bekalī
hai bahut vus'at liye ye ḳhāndān-e-shām-e-ġham
der tak karte rahe bāteñ tirī tasvīr se
aur karte 'nazr' kis ko rāzdān-e-shām-e-ġham
ho gae jab ek ja kuchh tishnigan-e-sham-e-gham
su-e-mai-KHana chala ek karwan-e-sham-e-gham
hijr ke gham se baDa duniya mein koi gham nahin
samne aaen kahan hain qatilan-e-sham-e-gham
jab jala lin bastiyan gurgon ne jitni ban paDi
parda-e-baatil se nikle hakiman-e-sham-e-gham
aaj to saqi mujhe bas jam-e-KHali chahiye
aansuon se bhar chuka hai martaban-e-sham-e-gham
panchhiyon ne apne apne ghonslon mein li panah
suna-suna paD gaya hai aasman-e-sham-e-gham
tishnagi aawargi KHana-KHarabi bekali
hai bahut wus'at liye ye KHandan-e-sham-e-gham
der tak karte rahe baaten teri taswir se
aur karte 'nazr' kis ko raazdan-e-sham-e-gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.