ho gae ruKHsat mere arman aisa kuchh nahin
ho gae ruKHsat mere arman aisa kuchh nahin
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
ho ga.e ruḳhsat mire armān aisā kuchh nahīñ
terā ġham dil meñ na ho mehmān aisā kuchh nahīñ
achchhe achchhe tairne vāloñ ko dekhā Dūbte
vaqt kī ham ko nahīñ pahchān aisā kuchh nahīñ
maiñ kisī kā ho ke tujh ko bhuul jā.ūñ kyā kahā
sach to ye hai merā kahnā maan aisā kuchh nahīñ
apne apne rāste haiñ apnī apnī manzileñ
terī miTTī meñ ho merī jaan aisā kuchh nahīñ
Thiik hai 'parvāz' ham ko mil na pā.īñ manzileñ
chhoḌ deñ ummīd kā maidān aisā kuchh nahīñ
ho gae ruKHsat mere arman aisa kuchh nahin
tera gham dil mein na ho mehman aisa kuchh nahin
achchhe achchhe tairne walon ko dekha Dubte
waqt ki hum ko nahin pahchan aisa kuchh nahin
main kisi ka ho ke tujh ko bhul jaun kya kaha
sach to ye hai mera kahna man aisa kuchh nahin
apne apne raste hain apni apni manzilen
teri miTTi mein ho meri jaan aisa kuchh nahin
Thik hai 'parwaz' hum ko mil na pain manzilen
chhoD den ummid ka maidan aisa kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.