ho gae sare baam-o-dar taqsim
ho ga.e saare bām-o-dar taqsīm
kis tarah ho gayā ye ghar taqsīm
baaġh meñ ab rahā hai kyā baaqī
ho chuke saare jab samar taqsīm
kis qadar mutma.in hai vo sardār
kar ke sab apnā dard-e-sar taqsīm
thā mire paas jo bhī sarmāya
ho gayā sab idhar udhar taqsīm
chaak par rakh ke merī miTTī ko
kar rahā hai vo kūza-gar taqsīm
ab samundar meñ ishti.āl kahāñ
rafta rafta hue bhañvar taqsīm
dushmanī ḳhud hī mol lī ham ne
dostoñ meñ kiyā hunar taqsīm
aag se kyā bacheñge ghar un ke
karte phirte haiñ jo sharar taqsīm
ho gae sare baam-o-dar taqsim
kis tarah ho gaya ye ghar taqsim
bagh mein ab raha hai kya baqi
ho chuke sare jab samar taqsim
kis qadar mutmain hai wo sardar
kar ke sab apna dard-e-sar taqsim
tha mere pas jo bhi sarmaya
ho gaya sab idhar udhar taqsim
chaak par rakh ke meri miTTi ko
kar raha hai wo kuza-gar taqsim
ab samundar mein ishtial kahan
rafta rafta hue bhanwar taqsim
dushmani KHud hi mol li hum ne
doston mein kiya hunar taqsim
aag se kya bachenge ghar un ke
karte phirte hain jo sharar taqsim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.