ho gai aam mohabbat ki kahani kitni
ho ga.ī aam mohabbat kī kahānī kitnī
ḳhaak logoñ ne tire shahr kī chhānī kitnī
tum nahīñ the to khaTakte the in āñkhoñ meñ charāġh
tū jo aa.e to huī raat suhānī kitnī
ik mohabbat ke havāle se sunī haiñ ham ne
dāstāneñ tirī āñkhoñ kī zabānī kitnī
bārhā silsila-e-ahd-e-bahārāñ ke huzūr
ġhuncha-o-gul pe huī fātiha-ḳhvānī kitnī
aa.e vo aur ga.e dil meñ charāġhāñ kar ke
ek lamhe meñ huī baat purānī kitnī
ho gai aam mohabbat ki kahani kitni
KHak logon ne tere shahr ki chhani kitni
tum nahin the to khaTakte the in aankhon mein charagh
tu jo aae to hui raat suhani kitni
ek mohabbat ke hawale se suni hain hum ne
dastanen teri aankhon ki zabani kitni
barha silsila-e-ahd-e-bahaaran ke huzur
ghuncha-o-gul pe hui fatiha-KHwani kitni
aae wo aur gae dil mein charaghan kar ke
ek lamhe mein hui baat purani kitni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.