ho gai aawaz sasti aur mahnga shor hai
ho ga.ī āvāz sastī aur mahñgā shor hai
baat baiThī hai sikuḌ kar aur phailā shor hai
ye tirā hai ye mirā hai aur vo us kā shor hai
TukḌe TukḌe duniyā ne TukḌoñ meñ bāñTā shor hai
laal ho niilā ho nārañgī ho yā phir ho harā
rañg alag ḳhud-ġharzī ke par sab kā ik sā shor hai
ye siyāsat kī dukānoñ meñ musalsal biktā hai
maz.haboñ kā ḳhatm ho to sarhadoñ kā shor hai
ab vo mimbar hai hamārā jo tumhārā thā kabhī
tab tumhārā shor thā to ab hamārā shor hai
shor se bāhar ke uktā ke ham andar aa ga.e
par hameñ kyā thī ḳhabar andar ziyāda shor hai
chīḳh ke chillā ke ro ro ke ye chup ho jaatā hai
jis kī koī na sune ik aisā bachcha shor hai
ho gai aawaz sasti aur mahnga shor hai
baat baiThi hai sikuD kar aur phaila shor hai
ye tera hai ye mera hai aur wo us ka shor hai
TukDe TukDe duniya ne TukDon mein banTa shor hai
lal ho nila ho narangi ho ya phir ho hara
rang alag KHud-gharzi ke par sab ka ek sa shor hai
ye siyasat ki dukanon mein musalsal bikta hai
mazhabon ka KHatm ho to sarhadon ka shor hai
ab wo mimbar hai hamara jo tumhaara tha kabhi
tab tumhaara shor tha to ab hamara shor hai
shor se bahar ke ukta ke hum andar aa gae
par hamein kya thi KHabar andar ziyaada shor hai
chiKH ke chilla ke ro ro ke ye chup ho jata hai
jis ki koi na sune ek aisa bachcha shor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.