ho gai sari pashemani abas
ho ga.ī saarī pashemānī abas
apnī hastī ham ne pahchānī abas
ab nikaltā hī nahīñ sūrat se aks
dil kī ye ā.īna-sāmānī abas
aañkh patthar kī tarah sākit ho jab
qulzum-e-ḳhūñ kī ye jaulānī abas
zindagī hai reg-zār-e-be-karāñ
dīda-e-betāb tuġhyānī abas
milne par hairān honā thā 'sabā'
chhūT kar un se ye hairānī abas
ho gai sari pashemani abas
apni hasti hum ne pahchani abas
ab nikalta hi nahin surat se aks
dil ki ye aaina-samani abas
aankh patthar ki tarah sakit ho jab
qulzum-e-KHun ki ye jaulani abas
zindagi hai reg-zar-e-be-karan
dida-e-betab tughyani abas
milne par hairan hona tha 'saba'
chhuT kar un se ye hairani abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.