Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gai uqda-kushai tere diwane se

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

ho gai uqda-kushai tere diwane se

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

MORE BYSyed Mubeen Alvi Khairabadi

    ho ga.ī uqda-kushā.ī tire dīvāne se

    rāz-e-kaunain khule ishq ke afsāne se

    ho ga.ī ishq-e-majāzī se haqīqat numūd

    raah ka.abe nazar aa.ī hai but-ḳhāne se

    qatre qatre mujhe denā hai mahshar meñ hisāb

    mai chhalak jaa.e na saaqī kahīñ paimāne se

    jaane kitne dil-e-mushtāq liye hai armāñ

    kaash shab Thahar bhī jaa.e tire aa jaane se

    saath lā.ūñgā 'mubīn' apne bahāroñ hujūm

    lauT kar ā.ūñgā maiñ jab kabhī vīrāne se

    ho gai uqda-kushai tere diwane se

    raaz-e-kaunain khule ishq ke afsane se

    ho gai ishq-e-majazi se haqiqat ki numud

    rah kabe ki nazar aai hai but-KHane se

    qatre qatre ka mujhe dena hai mahshar mein hisab

    mai chhalak jae na saqi kahin paimane se

    jaane kitne dil-e-mushtaq liye hai arman

    kash shab Thahar bhi jae tere aa jaane se

    sath launga 'mubin' apne bahaaron ka hujum

    lauT kar aaunga main jab kabhi virane se

    Source :
    • Book : Pirahn-e-harf (Pg. 22)
    • Author : Mubeen Alvi Khairabadi
    • Publication : Mubeen Alvi Khairabadi (1999)
    • Edition : 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now