ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe
ho gayā hai ek ik pal kāTnā bhārī mujhe
maar degī zindagānī kī girāñ-bārī mujhe
dar-ba-dar phir phir ke ḳhud apne se nafrat ho ga.ī
khokhlā sā kar gayā hai ranj-e-bekārī mujhe
itnā kuchh dekhā ki sab kuchh ek sā lagne lagā
kar gayā hai vaqt mahsūsāt se 'aarī mujhe
maiñ siyah malbūs guzre vaqt kā huuñ mātamī
ziist ne sauñpī hai maazī kī azā-dārī mujhe
ek ik kar ke kaTe bāhar ke saare rābte
kar ga.ī tanhā mirī sochoñ kī bīmārī mujhe
jī meñ aatā hai bikhar kar dahr bhar meñ phail jā.ūñ
qabr lagtī hai badan kī chār-dīvārī mujhe
tū nazar aayā to jangal zaat kā jal jā.egā
raakh kar degī tirī ḳhvāhish kī chingārī mujhe
roz o shab rahtā huuñ gum-sum aur mutafakkir 'riyāz'
karnī hai kis imtihāñ kī jaane tayyārī mujhe
ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe
mar degi zindagani ki giran-bari mujhe
dar-ba-dar phir phir ke KHud apne se nafrat ho gai
khokhla sa kar gaya hai ranj-e-bekari mujhe
itna kuchh dekha ki sab kuchh ek sa lagne laga
kar gaya hai waqt mahsusat se 'ari mujhe
main siyah malbus guzre waqt ka hun matami
zist ne saunpi hai mazi ki aza-dari mujhe
ek ek kar ke kaTe bahar ke sare rabte
kar gai tanha meri sochon ki bimari mujhe
ji mein aata hai bikhar kar dahr bhar mein phail jaun
qabr lagti hai badan ki chaar-diwari mujhe
tu nazar aaya to jangal zat ka jal jaega
rakh kar degi teri KHwahish ki chingari mujhe
roz o shab rahta hun gum-sum aur mutafakkir 'riyaz'
karni hai kis imtihan ki jaane tayyari mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.