ho gaya hal zindagi ka masala jo mujh mein tha
ho gayā hal zindagī kā mas.ala jo mujh meñ thā
ḳhāmushī se ik parinda uḌ gayā jo mujh meñ thā
‘aks-andar-‘aks ḳhud to dekhtā rahtā thā kaun
ā.ina-dar-ā.ina vo kaun thā jo mujh meñ thā
apne kāñdhe par uThā.e be-karāñ ġham kī salīb
chal diyā be-samtiyoñ meñ qāfila jo mujh meñ thā
vaqt ke ḳheme se bāhar kaun aa kar dekhtā
mausamoñ kā vo sulagtā silsila jo mujh meñ thā
jis kā saaya duur kar detā thā din-bhar kī thakan
vo shajar pahle to sūkhā phir jalā jo mujh meñ thā
muztarib lamhāt ko taskīn dene ke liye
maiñ ne ḳhud hī toḌ Daalā aa.ina jo mujh meñ thā
kis ne sochā thā vahī kaḌvā dhuāñ ban jā.egā
sabz peḌoñ kā ghanerā silsila jo mujh meñ thā
shab ke sannāTe meñ suntā thā jise maiñ sub.h tak
'rind' vo karb-e-anā kā shor thā jo mujh meñ thā
ho gaya hal zindagi ka masala jo mujh mein tha
KHamushi se ek parinda uD gaya jo mujh mein tha
‘aks-andar-‘aks KHud to dekhta rahta tha kaun
aaina-dar-aina wo kaun tha jo mujh mein tha
apne kandhe par uThae be-karan gham ki salib
chal diya be-samtiyon mein qafila jo mujh mein tha
waqt ke KHeme se bahar kaun aa kar dekhta
mausamon ka wo sulagta silsila jo mujh mein tha
jis ka saya dur kar deta tha din-bhar ki thakan
wo shajar pahle to sukha phir jala jo mujh mein tha
muztarib lamhat ko taskin dene ke liye
main ne KHud hi toD Dala aaina jo mujh mein tha
kis ne socha tha wahi kaDwa dhuan ban jaega
sabz peDon ka ghanera silsila jo mujh mein tha
shab ke sannaTe mein sunta tha jise main subh tak
'rind' wo karb-e-ana ka shor tha jo mujh mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.