ho gaya hum pe jo na tha hona
ho gayā ham pe jo na thā honā
zindagī tujh se kyā ḳhafā honā
kis qadar hai burā zamāne meñ
aadmī kā zarā burā honā
do ghaḌī ke liye tirā milnā
zindagī bhar kā hai judā honā
us ne baḌh kar mujhe sañbhālā hai
kaam aaya shikasta-pā honā
raat kaTtī hai jis kī āñkhoñ meñ
pūchhiye us se sub.h kā honā
ye zamāne kī tez dhuup 'nasīb'
aur apnā barahna-pā honā
ho gaya hum pe jo na tha hona
zindagi tujh se kya KHafa hona
kis qadar hai bura zamane mein
aadmi ka zara bura hona
do ghaDi ke liye tera milna
zindagi bhar ka hai juda hona
us ne baDh kar mujhe sanbhaala hai
kaam aaya shikasta-pa hona
raat kaTti hai jis ki aankhon mein
puchhiye us se subh ka hona
ye zamane ki tez dhup 'nasib'
aur apna barahna-pa hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.