ho gaya ishq ka aazar KHuda KHair kare
ho gayā ishq kā āzār ḳhudā ḳhair kare
hai musībat meñ dil-e-zār ḳhudā ḳhair kare
jaan bachtī nazar aatī nahīñ apnī mujh ko
mujh se barham hai mirā yaar ḳhudā ḳhair kare
be-ḳhabar thā vo mirī hālat-e-bad se lekin
in dinoñ hai vo ḳhabar-dār ḳhudā ḳhair kare
dil se us but ke utar kar kahīñ apnā jiinā
ho na jaa.e mujhe dushvār ḳhudā ḳhair kare
haa.e vo dil jise hāsil thā kabhī vasl-e-habīb
hijr meñ ab hai giraftār ḳhudā ḳhair kare
us kī qismat hai sañbhal jaa.e jo bīmār-e-firāq
varna achchhe nahīñ āsār ḳhudā ḳhair kare
yuuñ hī kyā kam thī bhalā āriz-e-jānāñ kī bahār
us pe ye kasrat-e-anvār ḳhudā ḳhair kare
dekh kar husn-e-dil-afroz ko us ke ai dil
yahī kahtā huuñ maiñ har baar ḳhudā ḳhair kare
dekhne ko bhī jo vo jurm batāte haiñ to haañ
dekhne kā huuñ gunahgār ḳhudā ḳhair kare
baat kyā hai ki mirā haal to abtar thā hī
aap kā haal bhī hai zaar ḳhudā ḳhair kare
kasrat-e-shauq se vo dil ki jo thā ḳhūgar-e-jaur
lutf kā ab hai talabgār ḳhudā ḳhair kare
ab to us shoḳh ne vo ruup nikālā hai 'jalīl'
ek aalam hai ḳharīdār ḳhudā ḳhair kare
ho gaya ishq ka aazar KHuda KHair kare
hai musibat mein dil-e-zar KHuda KHair kare
jaan bachti nazar aati nahin apni mujh ko
mujh se barham hai mera yar KHuda KHair kare
be-KHabar tha wo meri haalat-e-bad se lekin
in dinon hai wo KHabar-dar KHuda KHair kare
dil se us but ke utar kar kahin apna jina
ho na jae mujhe dushwar KHuda KHair kare
hae wo dil jise hasil tha kabhi wasl-e-habib
hijr mein ab hai giraftar KHuda KHair kare
us ki qismat hai sanbhal jae jo bimar-e-firaq
warna achchhe nahin aasar KHuda KHair kare
yun hi kya kam thi bhala aariz-e-jaanan ki bahaar
us pe ye kasrat-e-anwar KHuda KHair kare
dekh kar husn-e-dil-afroz ko us ke ai dil
yahi kahta hun main har bar KHuda KHair kare
dekhne ko bhi jo wo jurm batate hain to han
dekhne ka hun gunahgar KHuda KHair kare
baat kya hai ki mera haal to abtar tha hi
aap ka haal bhi hai zar KHuda KHair kare
kasrat-e-shauq se wo dil ki jo tha KHugar-e-jaur
lutf ka ab hai talabgar KHuda KHair kare
ab to us shoKH ne wo rup nikala hai 'jalil'
ek aalam hai KHaridar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.