ho gaya jaise tera didar pahla aaKHiri
ho gayā jaise tirā dīdār pahlā āḳhirī
ho bhī saktā hai kisī kā pyaar pahlā āḳhirī
umr bhar vo shaḳhs apnī baat par qaa.em rahā
aur yuuñ sābit huā inkār pahlā āḳhirī
jis qadar ghāyal kiyā ḳhud sau gunā ghāyal huā
ishq hī to thā mirā hathiyār pahlā āḳhirī
is liye maiñ ne guzārī ziist ho kar mo.atadil
samjhā jaatā hai yahāñ me.aar pahlā āḳhirī
jin kā da.avā thā ki har tūfān se Takrā.eñge
un ko hī lagne lagā āzār pahlā āḳhirī
har taraf hī pārsāoñ kā milā jamm-e-ġhafīr
puurī bastī meñ thā maiñ bad-kār pahlā āḳhirī
chor thā munsif ke dil meñ tujh pe qābiz ho gayā
varna 'ābid' thā tirā haqdār pahlā āḳhirī
ho gaya jaise tera didar pahla aaKHiri
ho bhi sakta hai kisi ka pyar pahla aaKHiri
umr bhar wo shaKHs apni baat par qaem raha
aur yun sabit hua inkar pahla aaKHiri
jis qadar ghayal kiya KHud sau guna ghayal hua
ishq hi to tha mera hathiyar pahla aaKHiri
is liye main ne guzari zist ho kar moatadil
samjha jata hai yahan mear pahla aaKHiri
jin ka dawa tha ki har tufan se Takraenge
un ko hi lagne laga aazar pahla aaKHiri
har taraf hi parsaon ka mila jamm-e-ghafir
puri basti mein tha main bad-kar pahla aaKHiri
chor tha munsif ke dil mein tujh pe qabiz ho gaya
warna 'abid' tha tera haqdar pahla aaKHiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.