ho gaya mausam suhana shairi karne lage
ho gayā mausam suhānā shā.irī karne lage
khol yādoñ kā ḳhazāna shā.irī karne lage
ik dafa us ne kahā thā kuchh likho mere liye
mil gayā ham ko bahāna shā.irī karne lage
tiir aur talvār to kab ke purāne ho ga.e
jab lagānā thā nishāna shā.irī karne lage
mahfiloñ meñ chuTkule paḌhne lage kuchh log jab
un sabhī ko kar ravāna shā.irī karne lage
yaar paisa to kamāte phir rahe haiñ dost sab
naam ham ko thā kamānā shā.irī karne lage
ho gaya mausam suhana shairi karne lage
khol yaadon ka KHazana shairi karne lage
ek dafa us ne kaha tha kuchh likho mere liye
mil gaya hum ko bahana shairi karne lage
tir aur talwar to kab ke purane ho gae
jab lagana tha nishana shairi karne lage
mahfilon mein chuTkule paDhne lage kuchh log jab
un sabhi ko kar rawana shairi karne lage
yar paisa to kamate phir rahe hain dost sab
nam hum ko tha kamana shairi karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.