ho gaya paemal aankhon mein
ho gayā pā.emāl āñkhoñ meñ
mar gayā ik savāl āñkhoñ meñ
us kī do be-misāl āñkhoñ
husn thā bā-kamāl āñkhoñ meñ
kyā bachā pur-malāl āñkhoñ meñ
hai faqat ḳhuun laal āñkhoñ meñ
ishq-e-avval hai zehn meñ jānāñ
jo huā tere naal āñkhoñ meñ
jin se niklī ho āñsuoñ kī nadī
tum ne dekhā vo taal āñkhoñ meñ
jañg jaarī hai chaar āñkhoñ meñ
ho rahā hai qitāl āñkhoñ meñ
un kī āñkhoñ se jab milī āñkheñ
dil kā kah Daalā haal āñkhoñ meñ
zindagī be-vafā hai ai 'ārif'
itne sapne na paal āñkhoñ meñ
ho gaya paemal aankhon mein
mar gaya ek sawal aankhon mein
us ki do be-misal aankhon
husn tha ba-kamal aankhon mein
kya bacha pur-malal aankhon mein
hai faqat KHun lal aankhon mein
ishq-e-awwal hai zehn mein jaanan
jo hua tere nal aankhon mein
jin se nikli ho aansuon ki nadi
tum ne dekha wo tal aankhon mein
jang jari hai chaar aankhon mein
ho raha hai qital aankhon mein
un ki aankhon se jab mili aankhen
dil ka kah Dala haal aankhon mein
zindagi be-wafa hai ai 'arif'
itne sapne na pal aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.