ho gaya un se hamein pyar KHuda KHair kare
ho gayā un se hameñ pyaar ḳhudā ḳhair kare
karne vaale haiñ ham iz.hār ḳhudā ḳhair kare
aaj aanā thā unheñ shaam Dhalī jaatī hai
dil huā jaatā hai bezār ḳhudā ḳhair kare
vo kisī aur ke hamrāh nazar aate haiñ
bevafā.ī ke haiñ āsār ḳhudā ḳhair kare
jeb ḳhālī hai mirī saath meñ bachche haiñ mire
aur khilaunoñ kā hai bāzār ḳhudā ḳhair kare
dekhne vaale sabhī dekh ke kahte haiñ yahī
mar na jaa.e tirā bīmār ḳhudā ḳhair kare
ye jo is daur ke insān ḳhudā haiñ ḳhud meñ
ye qayāmat ke haiñ āsār ḳhudā ḳhair kare
hazrat-e-'saif' mohabbat kā nasha ho jin par
un ko samjhānā hai be-kār ḳhudā ḳhair kare
ho gaya un se hamein pyar KHuda KHair kare
karne wale hain hum izhaar KHuda KHair kare
aaj aana tha unhen sham Dhali jati hai
dil hua jata hai bezar KHuda KHair kare
wo kisi aur ke hamrah nazar aate hain
bewafai ke hain aasar KHuda KHair kare
jeb KHali hai meri sath mein bachche hain mere
aur khilaunon ka hai bazar KHuda KHair kare
dekhne wale sabhi dekh ke kahte hain yahi
mar na jae tera bimar KHuda KHair kare
ye jo is daur ke insan KHuda hain KHud mein
ye qayamat ke hain aasar KHuda KHair kare
hazrat-e-'saif' mohabbat ka nasha ho jin par
un ko samjhana hai be-kar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.