ho gaya zaKHm mere dil ka hara sham Dhale
ho gayā zaḳhm mire dil kā harā shaam Dhale
yaad ne aa ke tirī chheḌ diyā shaam Dhale
lamha lamha mire nazdīk chalī aatī hai
jaane vaale tire qadmoñ kī sadā shaam Dhale
phir ḳhayāloñ meñ samāyā tirā chandan sā badan
phir mahak uTThī hai vīrān fazā shaam Dhale
mere ehsās pe chhā.ī haiñ ghanerī zulfeñ
jaane kis des se aa.ī hai ghaTā shaam Dhale
hāl-e-bīmār ḳhudā jaane sahar tak kyā ho
chārāgar karne lagā ḳhud hī duā shaam Dhale
maar Daale na kahīñ talḳhī-e-hastī paḌh kar
sāqiyā aur pilā aur pilā shaam Dhale
vo nikal aa.eñ idhar bhuul ke shāyad 'tālib'
ham jalāte haiñ sar-e-rāh diyā shaam Dhale
ho gaya zaKHm mere dil ka hara sham Dhale
yaad ne aa ke teri chheD diya sham Dhale
lamha lamha mere nazdik chali aati hai
jaane wale tere qadmon ki sada sham Dhale
phir KHayalon mein samaya tera chandan sa badan
phir mahak uTThi hai viran faza sham Dhale
mere ehsas pe chhai hain ghaneri zulfen
jaane kis des se aai hai ghaTa sham Dhale
haal-e-bimar KHuda jaane sahar tak kya ho
chaaragar karne laga KHud hi dua sham Dhale
mar Dale na kahin talKHi-e-hasti paDh kar
saqiya aur pila aur pila sham Dhale
wo nikal aaen idhar bhul ke shayad 'talib'
hum jalate hain sar-e-rah diya sham Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.