ho imtihan-e-wafa hashr tak to aar nahin
ho imtihān-e-vafā hashr tak to aar nahīñ
mirī janāb meñ nākāmiyoñ ko baar nahīñ
qabā-e-hastī-e-bātil jo taar taar nahīñ
to ai dil ahl-e-junūñ meñ tirā shumār nahīñ
hai shart jalva-gah-e-nāz meñ adab lekin
nigāh bas meñ nahīñ dil pe iḳhtiyār nahīñ
sunā hai jab se sar-e-hashr jalva-gar hoge
vo kis kā dil hai ki marhūn-e-intizār nahīñ
kabhī karam hai sabā kā kabhī ināyat-e-barq
qafas-nasīb ko zindāñ meñ bhī qarār nahīñ
na bāġhbāñ kā gila hai na shikva-e-sayyād
samajh liyā hai ki taqdīr meñ bahār nahīñ
milī hameñ vo salāmat-ravī mohabbat meñ
ki ab kisī kī adāvat bhī nāgavār nahīñ
ma.āl-e-ābla-pā.ī ayaañ hai us se rashīd
ki tishna mere lahū kī zabān-e-ḳhār nahīñ
ho imtihan-e-wafa hashr tak to aar nahin
meri janab mein nakaamiyon ko bar nahin
qaba-e-hasti-e-baatil jo tar tar nahin
to ai dil ahl-e-junun mein tera shumar nahin
hai shart jalwa-gah-e-naz mein adab lekin
nigah bas mein nahin dil pe iKHtiyar nahin
suna hai jab se sar-e-hashr jalwa-gar hoge
wo kis ka dil hai ki marhun-e-intizar nahin
kabhi karam hai saba ka kabhi inayat-e-barq
qafas-nasib ko zindan mein bhi qarar nahin
na baghban ka gila hai na shikwa-e-sayyaad
samajh liya hai ki taqdir mein bahaar nahin
mili hamein wo salamat-rawi mohabbat mein
ki ab kisi ki adawat bhi nagawar nahin
maal-e-abla-pai ayan hai us se rashid
ki tishna mere lahu ki zaban-e-KHar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.