ho jaega mujhe bhi nazara kabhi kabhi
ho jā.egā mujhe bhī nazārā kabhī kabhī
aaya karo idhar bhī ḳhudārā kabhī kabhī
hasrat rahī ye dil meñ ki ho jaa.e dosto
ulfat bharī nazar kā ishāra kabhī kabhī
chupke se ham ne bāda-e-zahrāb pī liyā
ye ishq meñ kiyā hai gavārā kabhī kabhī
hotī rahī haiñ ġharq kināre ye kashtiyāñ
maujoñ meñ bhī milā hai kinārā kabhī kabhī
ghabrā ke nabz-e-gardish-e-daurāñ Thahar ga.ī
jis vaqt ham ne un ko pukārā kabhī kabhī
hasrat se har kisī kī taraf dekhtā huuñ maiñ
aatā hai jab ḳhayāl tumhārā kabhī kabhī
'rāhī' ḳhafā haiñ ham se vo lekin karam ye hai
rakhte haiñ vo ḳhayāl hamārā kabhī kabhī
ho jaega mujhe bhi nazara kabhi kabhi
aaya karo idhar bhi KHudara kabhi kabhi
hasrat rahi ye dil mein ki ho jae dosto
ulfat bhari nazar ka ishaara kabhi kabhi
chupke se hum ne baada-e-zahrab pi liya
ye ishq mein kiya hai gawara kabhi kabhi
hoti rahi hain gharq kinare ye kashtiyan
maujon mein bhi mila hai kinara kabhi kabhi
ghabra ke nabz-e-gardish-e-dauran Thahar gai
jis waqt hum ne un ko pukara kabhi kabhi
hasrat se har kisi ki taraf dekhta hun main
aata hai jab KHayal tumhaara kabhi kabhi
'rahi' KHafa hain hum se wo lekin karam ye hai
rakhte hain wo KHayal hamara kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.