ho jaen kisi ke jo kabhi yar munafiq
ho jaa.eñ kisī ke jo kabhī yaar munāfiq
samjho ki hue haiñ dar-o-dīvār munāfiq
ban jaatā hai kaise koī sālār munāfiq
ye baat samajhne ko hai darkār munāfiq
mumkin thā kabhī un ko maiñ ḳhātir meñ na laatā
hote jo muqābil mire do-chār munāfiq
un ko kisī bāzār se laanā nahīñ paḌtā
yāroñ meñ hī mil jaate haiñ tayyār munāfiq
nāpaid huā jaatā hai iḳhlās yahāñ par
sardār munāfiq hai sar-e-dār munāfiq
jo shaḳhs munāfiq hai munāfiq hī rahegā
ik baar munāfiq ho yā sau baar munāfiq
sachchā.ī zabāñ kaaT ke chup-chāp khaḌī hai
shohrat kī bulandī pe haiñ aḳhbār munāfiq
likkhā hai munāfiq ne munāfiq kā fasāna
is vāste rakkhe haiñ ye kirdār munāfiq
jis shahr kī buniyād munāfiq ne ho rakkhī
qaa.em vahāñ ho jaatī hai sarkār munāfiq
muḳhlis haiñ jo khul kar mirī tā.īd kareñge
bhaḌkeñge ye sun kar mire ash.ār munāfiq
'dānish' ye haqīqat hai bhale maano na maano
iḳhlās kā tai karte haiñ me.aar munāfiq
ho jaen kisi ke jo kabhi yar munafiq
samjho ki hue hain dar-o-diwar munafiq
ban jata hai kaise koi salar munafiq
ye baat samajhne ko hai darkar munafiq
mumkin tha kabhi un ko main KHatir mein na lata
hote jo muqabil mere do-chaar munafiq
un ko kisi bazar se lana nahin paDta
yaron mein hi mil jate hain tayyar munafiq
napaid hua jata hai iKHlas yahan par
sardar munafiq hai sar-e-dar munafiq
jo shaKHs munafiq hai munafiq hi rahega
ek bar munafiq ho ya sau bar munafiq
sachchai zaban kaT ke chup-chap khaDi hai
shohrat ki bulandi pe hain aKHbar munafiq
likkha hai munafiq ne munafiq ka fasana
is waste rakkhe hain ye kirdar munafiq
jis shahr ki buniyaad munafiq ne ho rakkhi
qaem wahan ho jati hai sarkar munafiq
muKHlis hain jo khul kar meri taid karenge
bhaDkenge ye sun kar mere ashaar munafiq
'danish' ye haqiqat hai bhale mano na mano
iKHlas ka tai karte hain mear munafiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.