ho jaenge jis roz sabhi kaam mukammal
ho jā.eñge jis roz sabhī kaam mukammal
aa jā.egā is ruuh ko ārām mukammal
dil meñ hai magar us se kabhī kah nahīñ paa.e
aane se tire hotī hai ye shaam mukammal
bātoñ meñ mahārat jise hāsil nahīñ hotī
aksar vahī ho jaatā hai nākām mukammal
kuchh kaam to ho jaate haiñ is ḳhauf se aksar
ho jaa.eñ na ham bhī kahīñ gumnām mukammal
aa jaatā bulāne se yaqīñ mujh ko hai lekin
us tak kabhī pahuñche nahīñ paiġhām mukammal
ye ziist mirī ziist hī rahtī bhī kahāñ phir
ruk jaatī agar gardish-e-ayyām mukammal
ho jaenge jis roz sabhi kaam mukammal
aa jaega is ruh ko aaram mukammal
dil mein hai magar us se kabhi kah nahin pae
aane se tere hoti hai ye sham mukammal
baaton mein mahaarat jise hasil nahin hoti
aksar wahi ho jata hai nakaam mukammal
kuchh kaam to ho jate hain is KHauf se aksar
ho jaen na hum bhi kahin gumnam mukammal
aa jata bulane se yaqin mujh ko hai lekin
us tak kabhi pahunche nahin paigham mukammal
ye zist meri zist hi rahti bhi kahan phir
ruk jati agar gardish-e-ayyam mukammal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.