ho jate hain jab apne marizon se KHafa aur
ho jaate haiñ jab apne marīzoñ se ḳhafā aur
karte haiñ vo ījād sitam aur jafā aur
ai zulm sarāpā kabhī is par bhī nazar kar
kyā merā ḳhudā aur hai terā hai ḳhudā aur
mushkil hai batānā ki hai kyā farq magar hai
lailā kī adā aur hai majnūñ kī adā aur
taslīm ki duniyā hī meñ hai jail bhī lekin
andar kī fazā aur hai bāhar kī fazā aur
kahtā hai ye qaidī ki havā ek nahīñ hai
bāhar kī havā aur hai andar kī havā aur
momin ke liye jail hai duniyā-e-dunī bhī
duniyā kī fazā aur hai uqbā kī fazā aur
bīmār-e-masarrat kī davā aish kī lazzat
bīmār-e-mohabbat kā maraz aur davā aur
allāh kare tujh ko tire nuur se āgāh
mahfil kā diyā aur tire dil kā diyā aur
anjām-e-mohabbat se uruuj apne hai vāqif
tā-zīst hai qismat meñ jafā aur balā aur
ho jate hain jab apne marizon se KHafa aur
karte hain wo ijad sitam aur jafa aur
ai zulm sarapa kabhi is par bhi nazar kar
kya mera KHuda aur hai tera hai KHuda aur
mushkil hai batana ki hai kya farq magar hai
laila ki ada aur hai majnun ki ada aur
taslim ki duniya hi mein hai jail bhi lekin
andar ki faza aur hai bahar ki faza aur
kahta hai ye qaidi ki hawa ek nahin hai
bahar ki hawa aur hai andar ki hawa aur
momin ke liye jail hai duniya-e-duni bhi
duniya ki faza aur hai uqba ki faza aur
bimar-e-masarrat ki dawa aish ki lazzat
bimar-e-mohabbat ka maraz aur dawa aur
allah kare tujh ko tere nur se aagah
mahfil ka diya aur tere dil ka diya aur
anjam-e-mohabbat se uruj apne hai waqif
ta-zist hai qismat mein jafa aur bala aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.