ho jis qadar ki tujhse ai pur-jafa jafa kar
ho jis qadar ki tujh se ai pur-jafā jafā kar
kahtā huuñ maiñ bhī tujh se ai bā-vafā vafā kar
bait-us-sanam meñ jā kar hamdam ba-rabb-e-ka.aba
laayā huuñ us sanam ko ghar tak ḳhudā ḳhudā kar
gauhar jo ashk ke haiñ kuchh chashm ke sadaf meñ
ġhaltāñ na ḳhaak meñ kar aañsū bahā bahā kar
marte haiñ ham to lekin sun terī aamad aamad
ummīd ne rakhā hai ab tak jalā jalā kar
tujh ko patang uḌāte dekhā jo 'āshiqoñ ne
kaT mar ke baiThe aksar ghar-var luTā luTā kar
sad-chāk dil kā honā har sub.h-dam hamārā
gul se tū kah rahī hai bulbul hañsā hañsā kar
aatā hai vo sharābī khāne kabāb dil kā
kahtā hai jhūTī bāteñ kyā kyā chabā chabā kar
saaqī mu'āf rakkho gustāḳhiyāñ hamārī
be-ḳhud kiyā nashe meñ tū ne pilā pilā kar
bose kā likh ke nusḳha yāqūtī-e-laboñ se
bīmār-e-ishq terā hai be-davā davā kar
har sub.h chaak ho hai nāseh mirā garebāñ
har shaam tū rakkhe hai nāhaq silā silā kar
aur ik ġhazal 'muhib' kah bar-qaul 'mīr'-sāhib
auroñ se de ishāre ham se chhupā chhupā kar
ho jis qadar ki tujh se ai pur-jafa jafa kar
kahta hun main bhi tujh se ai ba-wafa wafa kar
bait-us-sanam mein ja kar hamdam ba-rabb-e-kaba
laya hun us sanam ko ghar tak KHuda KHuda kar
gauhar jo ashk ke hain kuchh chashm ke sadaf mein
ghaltan na KHak mein kar aansu baha baha kar
marte hain hum to lekin sun teri aamad aamad
ummid ne rakha hai ab tak jala jala kar
tujh ko patang uDate dekha jo 'ashiqon ne
kaT mar ke baiThe aksar ghar-war luTa luTa kar
sad-chaak dil ka hona har subh-dam hamara
gul se tu kah rahi hai bulbul hansa hansa kar
aata hai wo sharabi khane kabab dil ka
kahta hai jhuTi baaten kya kya chaba chaba kar
saqi mu'af rakkho gustaKHiyan hamari
be-KHud kiya nashe mein tu ne pila pila kar
bose ka likh ke nusKHa yaquti-e-labon se
bimar-e-ishq tera hai be-dawa dawa kar
har subh chaak ho hai naseh mera gareban
har sham tu rakkhe hai nahaq sila sila kar
aur ek ghazal 'muhib' kah bar-qaul 'mir'-sahib
auron se de ishaare hum se chhupa chhupa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.