ho justuju jise har sar ki sang-e-dar ke liye

ho justuju jise har sar ki sang-e-dar ke liye
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ho justujū jise har sar kī sañg-e-dar ke liye
vo sajda-gāh nahīñ hai hamāre sar ke liye
faqat nasheman-o-dām-o-qafas kī baat nahīñ
abhī kuchh aur bhī baaqī hai bāl-o-par ke liye
mujhe nasīb hue tum to maiñ yahī samjhā
asar duā ke liye hai duā asar ke liye
ġham-e-hayāt ġham-e-āshiqī ġham-e-uqbā
kuchh aur bhī ho atā umr-e-muḳhtasar ke liye
idhar junūñ hai udhar aql sochtā kyā hai
ki ye maqām nahīñ hai agar magar ke liye
'sahar' ke sar kī tamannā kareñ na dair-o-haram
ye vaqf hai kisī kāfir ke sañg-e-dar ke liye
ho justuju jise har sar ki sang-e-dar ke liye
wo sajda-gah nahin hai hamare sar ke liye
faqat nasheman-o-dam-o-qafas ki baat nahin
abhi kuchh aur bhi baqi hai baal-o-par ke liye
mujhe nasib hue tum to main yahi samjha
asar dua ke liye hai dua asar ke liye
gham-e-hayat gham-e-ashiqi gham-e-uqba
kuchh aur bhi ho ata umr-e-muKHtasar ke liye
idhar junun hai udhar aql sochta kya hai
ki ye maqam nahin hai agar magar ke liye
'sahar' ke sar ki tamanna karen na dair-o-haram
ye waqf hai kisi kafir ke sang-e-dar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.