ho kash wafa wada-e-farda-e-qayamat
ho kaash vafā vāda-e-fardā-e-qayāmat
aa.egī magar dekhiye kab aa.e qayāmat
suntā huuñ ki hañgāma-e-dīdār bhī hogā
ek aur qayāmat hai ye bālā-e-qayāmat
ham dil ko in alfāz se karte haiñ muḳhātab
ai jalva-gah-e-anjuman-ārā-e-qayāmat
allāh bachā.e ġham-e-furqat vo balā hai
munkir kī nigāhoñ pe bhī chhā jaa.e qayāmat
'fānī' ye magar rāh-e-mohabbat kī zamīñ hai
har zarre meñ hai vusat-e-sahrā-e-qayāmat
ho kash wafa wada-e-farda-e-qayamat
aaegi magar dekhiye kab aae qayamat
sunta hun ki hangama-e-didar bhi hoga
ek aur qayamat hai ye baala-e-qayamat
hum dil ko in alfaz se karte hain muKHatab
ai jalwa-gah-e-anjuman-ara-e-qayamat
allah bachae gham-e-furqat wo bala hai
munkir ki nigahon pe bhi chha jae qayamat
'fani' ye magar rah-e-mohabbat ki zamin hai
har zarre mein hai wusat-e-sahra-e-qayamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.