ho kaise kisi wade ka iqrar registered
ho kaise kisī vā'de kā iqrār registered
jab ḳhud hī nahīñ hai mirī sarkār registered
kyā shaiḳh o brahman pe kare koī bharosa
tasbīh registered na zunnār registered
is jumbish chitvan se koī bach nahīñ saktā
qātil kā mire hotā hai har vaar registered
chāhe bhī to ab tark-e-taġhāful nahīñ mumkin
hai dost kī ġhaflat kā ye āzār registered
muddat huī dam toḌ diyā amn-o-amāñ ne
ab ho ga.e ye hashr ke āsār registered
ho paayā tire husn-e-talavvun ke karam se
iqrār registered na inkār registered
duniyā hai mirī teġh kā maane hue lohā
hai saare zamāne meñ ye talvār registered
tujh par tire har fe'l par uThne lagī uñglī
tū ḳhud hai gazetted tirā kirdār registered
ab husn-faroshī ke liye misr ke badle
bhārat meñ hai naḳhḳhās kā bāzār registered
tū laakh kare chehra-e-zebā kī numā.ish
hogā na tire husn kā me'yār registered
chaḌhtā hai irāda mirā parvān tah-e-teġh
hotā hai mirā 'azm sar-e-dār registered
baiThā huā sikka hai mirī fikr-e-suḳhan kā
ai 'shauq' na hoñ kyuuñ mire ash’ār registered
ho kaise kisi wa'de ka iqrar registered
jab KHud hi nahin hai meri sarkar registered
kya shaiKH o brahman pe kare koi bharosa
tasbih registered na zunnar registered
is jumbish chitwan se koi bach nahin sakta
qatil ka mere hota hai har war registered
chahe bhi to ab tark-e-taghaful nahin mumkin
hai dost ki ghaflat ka ye aazar registered
muddat hui dam toD diya amn-o-aman ne
ab ho gae ye hashr ke aasar registered
ho paya tere husn-e-talawwun ke karam se
iqrar registered na inkar registered
duniya hai meri tegh ka mane hue loha
hai sare zamane mein ye talwar registered
tujh par tere har fe'l par uThne lagi ungli
tu KHud hai gazetted tera kirdar registered
ab husn-faroshi ke liye misr ke badle
bhaarat mein hai naKHKHas ka bazar registered
tu lakh kare chehra-e-zeba ki numaish
hoga na tere husn ka me'yar registered
chaDhta hai irada mera parwan tah-e-tegh
hota hai mera 'azm sar-e-dar registered
baiTha hua sikka hai meri fikr-e-suKHan ka
ai 'shauq' na hon kyun mere ash’ar registered
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.