ho kaise na hum donon ka andaz-e-bayan aur
ho kaise na ham donoñ kā andāz-e-bayāñ aur
hai merī zabāñ aur farañgī kī zabāñ aur
chāho ki na aa.e jo mire lab pe fuġhāñ aur
maaro na vahīñ choT ki hai dard-e-jahāñ aur
yā-rab but-e-ḳhush-fām se apnī nahīñ bantī
de jild use aur jo de mujh ko na jaañ aur
tū sab kā ḳhudā hai to mujhe itnā batā de
ye kaisī ḳhudā.ī hai yahāñ aur vahāñ aur
in sho.aloñ se to jal na sakā merā nasheman
ab dekhiye kyā kartī hai ye barq-e-tapāñ aur
ik ghūñT pe mabnī hai tire rind kī duniyā
is jaam meñ bas itnī sī ai pīr-e-muġhāñ aur
shaidā.ī huuñ 'ġhālib' kā mujhe kahte haiñ 'betāb'
juz is ke nahīñ koī mirā nām-o-nishāñ aur
ho kaise na hum donon ka andaz-e-bayan aur
hai meri zaban aur farangi ki zaban aur
chaho ki na aae jo mere lab pe fughan aur
maro na wahin choT ki hai dard-e-jahan aur
ya-rab but-e-KHush-fam se apni nahin banti
de jild use aur jo de mujh ko na jaan aur
tu sab ka KHuda hai to mujhe itna bata de
ye kaisi KHudai hai yahan aur wahan aur
in shoalon se to jal na saka mera nasheman
ab dekhiye kya karti hai ye barq-e-tapan aur
ek ghunT pe mabni hai tere rind ki duniya
is jam mein bas itni si ai pir-e-mughan aur
shaidai hun 'ghaalib' ka mujhe kahte hain 'betab'
juz is ke nahin koi mera nam-o-nishan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.