ho kar kisi ke ishq mein diwana dekhiye
ho kar kisī ke ishq meñ dīvāna dekhiye
lau sham.a de rahī hai ki parvāna dekhiye
luTne ke bāvajūd bhī detā rahā duā
dil kā chaman hai kitnā faqīrāna dekhiye
aap aa ga.e haiñ lāla-o-gul ke dayār meñ
har barg-e-gul pe hai mirā afsāna dekhiye
pīr-e-muġhāñ ḳhamosh hai saaqī hai dam-ba-ḳhud
ab mohtasib ke haath meñ paimāna dekhiye
sunte the vo chale haiñ basāne ko bastiyāñ
ik ek shahr ho gayā vīrāna dekhiye
duniyā pe ittihām munāsib nahīñ 'tufail'
apnī taraf bhī aap harīfāna dekhiye
ho kar kisi ke ishq mein diwana dekhiye
lau shama de rahi hai ki parwana dekhiye
luTne ke bawajud bhi deta raha dua
dil ka chaman hai kitna faqirana dekhiye
aap aa gae hain lala-o-gul ke dayar mein
har barg-e-gul pe hai mera afsana dekhiye
pir-e-mughan KHamosh hai saqi hai dam-ba-KHud
ab mohtasib ke hath mein paimana dekhiye
sunte the wo chale hain basane ko bastiyan
ek ek shahr ho gaya virana dekhiye
duniya pe ittiham munasib nahin 'tufail'
apni taraf bhi aap harifana dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.