ho ke is chashm-e-mai-parast se mast
ho ke is chashm-e-mai-parast se mast
kyā ulajhtā hai aaj mast se mast
ek hī laġhzish aur guzar bhī ga.e
aql ke har buland-o-past se mast
kaun nazroñ meñ ab samā.e ki ham
haiñ tirī chashm-e-mast-mast se mast
is gulistāñ meñ piine aa.e haiñ
har gul-e-sā-nagī-ba-dast se mast
sab haiñ āġhosh-e-hosh meñ 'amjad'
ek hī huuñ dam-e-alast se mast
ho ke is chashm-e-mai-parast se mast
kya ulajhta hai aaj mast se mast
ek hi laghzish aur guzar bhi gae
aql ke har buland-o-past se mast
kaun nazron mein ab samae ki hum
hain teri chashm-e-mast-mast se mast
is gulistan mein pine aae hain
har gul-e-sa-nagi-ba-dast se mast
sab hain aaghosh-e-hosh mein 'amjad'
ek hi hun dam-e-alast se mast
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.